Kanz e Aza

Kya Ye Wo Chand

A noha for Ibtedaye Ayyam e Aza, written by Ali Raza Surani. Lyrics in Roman Urdu.

hilal e maah e gham hilal e maah e aza


ghar lut gaya batool ka laaya hai jo khabar

kya ye wo chand hai

jis chand mein huwe hai bahattar lahoo mein tar

kya ye wo chand hai


jis chand mein rasool bhi rote hai zaar zaar

hoti hai jisko dekh ke zahra bhi beqarar

karta hai jo hassan ke kaleje ko taar taar

sadme se jis mein aaj bhi roti hai zulfiqar

aate hai jis mein aj bhi pyason ke sar nazar

kya ye wo chand hai...

ghar lut gaya batool ka...


jis chand mein batool ka gulshan ujad gaya

jis chand mein rasool ke pyaron pe thi jafa

jis chand mein ali ke dulaaron ka sar kata

jis chand mein lahoo se hui laal karbala

jis mein laga diya gaya pehra furaat par

kya ye wo chand hai...

ghar lut gaya batool ka...


jis chand mein hussain se akbar juda hua

seene pe naujawan ke barchi ka phal laga

toda gaya zaeef ka pardes mein asaa

cheena gaya hussain se jeene ka aasra

akbar ka jis mein baap ke haathon pe tha jigar

kya ye wo chand hai...

ghar lut gaya batool ka...


abbas ka hussain ne paaya hai jis mein gham

jis mein kamar hui hai shahe karbala ki kham

jis chand mein dilayr ke shaane huwe qalam

thanda hua furaat pe jis chand mein alam

jis mein nehar pe doob gaya hashmi qamar

kya ye wo chand hai...

ghar lut gaya batool ka...


nanhe galay pe teer laga jis hilal mein

ek sheerkhwar nehr hua jis hilal mein

chehre pe sheh ne khoon mala jis hilal mein

asghar ko roke dafn kiya jis hilal mein

ki jis mein bezaban ki lehad aansuon se tar

kya ye wo chand hai...

ghar lut gaya batool ka...


zakhmon se choor choor thay jis mein shahe huda

seene pe jis hilal mein shimr e layeen chadha

kaata gaya hussain ka jis chand mein gala

jis mein hussain qatl huwe ran mein bekhata

maadar thi jis mein laal ke laashe pe nauha gar

kya ye wo chand hai...

ghar lut gaya batool ka...


hoti thi jis hilal mein din raat sakhtiyan

tadpi hai jis hilal mein hyder ki betiyan

ujdi hai jis hilal mein maa'on ki godhiyan

dikhta hai jis hilal mein qaimon ka wo dhuaan

pehre pe jis mein zainab e muztar thi raat bhar

kya ye wo chand hai...

ghar lut gaya batool ka...


likhta hai jab koi bhi surani ye daastan

hota hai jab ali ye bahattar ka gham bayan

hilti hai ye zameen larazta hai aasman

dete hai ghaib se ye sada saahib az zaman

rota hoon jis mein peet ke sar mai har ek peher

haan ye wo chand hai haan ye wo chand hai

ghar lut gaya batool ka...