Kanz e Aza

Baba Idhar Na

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Ali Raza Surani. Lyrics in Roman Urdu.

hua ye shor ke ghode se gir gaye akbar

hussain aaye hai maqtal mein ghutniyo chal kar

sar apne laal ka zaanu pe shaah ne rakkha

zaeef baap ye kadiyal jawan se bola

rakha hai haath kaleje pe kyun mere beta

hata le haath ke ab phat raha hai dil mera

hata ke haathon ko kehne laga pisar baba

jo ho sakega to na dekhna idhar baba


bole akbar apne baba se idhar na dekhna

ay mere baba mera zakhmi jigar na dekhna


baap ki khaatir bada hi sakht hai bete ka gham

naujawan hoon jis ghadi baba mera niklega dam

mera chehra us ghadi mere pidar na dekhna

bole akbar apne baba se...


door hat jaana mere seene se barchi khaynch kar

khoon niklega uchal kar mere seene se agar

dil to tadpega bahot baba magar na dekhna

bole akbar apne baba se...


rok kar akbar ko sarwar ne kaha mere hilal

imtihan e sabr hai ye baap ka ay mere laal

ab mujhe kuch dayr ay mere pisar na dekhna

bole akbar apne baba se...


aasteen apni chadha kar jab mai khaynchunga sina

waasta tujhko tere baba ka ay kadiyal jawan

meri jaanib ay mere noor e nazar na dekhna

bole akbar apne baba se...


phir kiya qaime ka rukh akbar ne rokar ye kaha

doobta hai karbala mein chaand ay amma tera

chaand ki jaanib kabhi ab umr bhar na dekhna

bole akbar apne baba se...


hichkiyan jab maut ki aayi to bola naujawan

aap par qurban ho akbar ay mere baba jaan

godh ke paale ka ye mushkil safar na dekhna

bole akbar apne baba se...


ay surani ro pada dil maine jis dam ye likha

aakhri saanson mein di sughra ko akbar ne sada

ab mera rasta behen shaam o sehar na dekhna

bole akbar apne baba se...