Uthta nahi zaeef se lasha jawaan ka
Bacho uthao aake janaza jawan ka.
Thame huwe kamar ko sada dete the hussain
khyme me kis tarha tumhe le-jau noor e ayn
Lyla sahegi kis tarha sadma jawan ka
BACHO UTHAO....
Shahe huda ki ankh se ansu tapakte the
Jab ran me aydhiya'n ali akbar ragadte the
Dekhega baap kaise tadapna jawan ka
BACHO UTHAO....
Ansaar me ghareeb ke koi nahi raha
Darya kanaare qatl hua bhai bawafa
Barchi ke sath dekha kaleja jawan ka
BACHO UTHAO...
Tanhaayi chaar su hai sahara nahi koi
Pyaase ka haaye chaahne waala nahi koi
Kaise ho daagh dil ko gawaara jawaan ka
BACHO UTHAO....
Bole hussain gham ye uthauga kis tarha
Zainab ko tere haal dikhunga kis tarha
Dooba huwa hai khoon me chehra jawaan ka
BACHO UTHAO...
Sadma azeem dasht me shabbir seh chuke
Moula ka haal dekh ke zalim ye kehte the
Zinda hai ya ke mar gaya baba jawaan ka
BACHO UTHAO...
Zainab ki thi fughaa'n ke ye gham Seh Na Paaungi
Armaan tha ke ghar teri dulhan mai laaungi
Dulhan na aayi aaya janaza jawaan ka
BACHO UTHAO....
Yasrab me Sughra Har Ghadi Bechain Hoti Hai
Akbar ke naqshe pa se lipatkar wo roti hai Aur khaab me sajati Hai sehra jawaan ka
BACHO UTHAO ...
Dil ka sukoo shabih e payambar thi samne
Kya likhe zain Lasha e akber ki saamne
Ibne Ali Ke Lab Pe Tha Nouha jawaan ka
Uthta nahi zaref se lasha........