haye baba hai dard bada
aakhri waqt hai dil apna sambhalo baba
barchi akbar ke kaleje se nikalo baba
aisi uljhi hai kaleje mein ye barchi baba
saath barchi ke kaleja bhi nikal aayega
waqt mushkil hai bada khud ko sambhalo baba
barchi akbar ke kaleje se nikalo baba
aakhri waqt hai...
waar zaalim ka tha aisa mai sambhal na paaya
us ne seene mein hi barchi ki ani ko toda
mujhko is dard ki mushkil se nikalo baba
barchi akbar ke kaleje se nikalo baba
aakhri waqt hai...
ab to kuch dayr mein jaan meri nikal jayegi
phir kabhi behna meri mujhse na mil payegi
ho sake to meri sughra ko bulalo baba
barchi akbar ke kaleje se nikalo baba
aakhri waqt hai...
baba jaan laash meri qaimon mein jab jayegi
maa to ye haal mera dekh ke mar jayegi
zakhm seene ka kisi tarha chupalo baba
barchi akbar ke kaleje se nikalo baba
aakhri waqt hai...
ashk rukhsar pe raasha hai tere haathon mein
ye bhi mushkil hai ke beenayi nahi aankhon mein
tum madad ke liye dada ko bulalo baba
barchi akbar ke kaleje se nikalo baba
aakhri waqt hai...
zabt farhan qayamat hai likhe kya mazhar
aakhri baat yehi keh ke sidhare akbar
ya ali keh ke mera laasha uthalo baba
barchi akbar ke kaleje se nikalo baba
aakhri waqt hai...