barchi ali akbar ke kaleje may lagi hai
dam tod'te farzand ko maa dekh rahi hai
ay maut tehar ja mere akbar ko na leja
rasta ali akbar ka behan dekh rahi hai
dum todte farzand...
barchi ali akbar...
samjha hai tumhe aun-o-mohamed se zyada
athara baras paala hai aanchal may chupa ke
tumko to abhi baap ka ban'na tha sahara
tum sogaye maidan may phal barchi ka khaake
zainab ne kaha haaye mere naazon ke paale
barchi tere seene pe nahi mere lagi hai
dum todte farzand ko maa dekh rahi hai
barchi ali akbar...
laila ne kaha jiska jawan laal ho aisa
us maa ki rida fauje shaqi cheen rahi hai
dum todte farzand ko maa dekh rahi hai
barchi ali akbar...
maa kehti din byaah ke jab aaye to beta
dunya se sawaari teri jannat ko chali hai
dum todte farzand ko maa dekh rahi hai
barchi ali akbar...
marne ke liye izne wigha maang rahe hai
din jeene ke hai phir bhi qaza maang rahe hai
do ghoont milay pani ye akbar ne sada di
shabbir se kis waqt ye kya maang rahe hai
rehaan ka nowha hai ke ye bazm-e-aza may
akbar teri awaaz-e-azan goonj rahi hai
dum todte farzand ko maa dekh rahi hai
barchi ali akbar...