Kanz e Aza

Bawafa Bawafa

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Rehaan Azmi. Lyrics in Roman Urdu.

bawafa bawafa ghazi alamdar e wafa

baazu e shabbir hai fatema ki hai dua


kulle emaan hai ali kulle wafa abbas hai

karbala ke zaairon ka rehnuma abbas hai

hai yehi babul hawaij hai yehi haajat rawa

bawafa bawafa...


baap quran e shuja'at ye hai quran e wafa

baap hai saaqi e kausar ye hai pyason ki dua

aaj tak qabze mein iske hai furaat o alqama

bawafa bawafa...


hai ragon mein khoon abu talib ka iske maujizan

bu-tarabi khoon hai kyun kar na ho baatil shikan

tod daala is jari ne khyber e karbobala

bawafa bawafa...


aas dhaaras dastageeri khaadime shabbir bhi

karbala walon ka saqqa karbala jageer bhi

uske parcham ki hawa hai surat e khaake shifa

bawafa bawafa...


hogaye baazu qalam aur khoon mein dooba alam

hat sake na alqama se phir bhi ghazi ke qadam

turbat e abbas par pehre pe hai darya khada

bawafa bawafa...


noke naiza par ruke sar kis tarha abbas ka

berida zainab ko dekhe ye shehenshahe wafa

isliye noke sina par sar na ghazi ka ruka

bawafa bawafa...


haye wo bali sakina aur tamachon ke nishan

kaan zakhmi tashnalab ahle sitam ke darmiyan

haath kano par rakhe kehti rahi mere chacha

bawafa bawafa...


dekhlo rehaan aur rizwan ghazi ka bharam

kha nahi sakta hai koi aaj bhi jhooti qasam

hai ata'on par ata nakshe qadam abbas ka

bawafa bawafa...