Kanz e Aza

Beparda Shaam ki

A noha for Darbaar e Shaam, written by Rehaan Azmi. Lyrics in Roman Urdu.

haye zainab haye baazar


be parda shaam ki galiyon mein

tatheer ki chaadar waali hai

khoton se baraste hai patthar

athara baradar waali hai


hasnain ki jo maajayi hai

wo qaidi ban ke aayi hai

ek jashn bapa bazar mein hai

namoos e payambar waali hai

be parda shaam ki...


sar zakhmi hai zakhmi hai badan

be chadar hai haathon mein rasan

jurrat bhi shuja'at bhi lekin

abbas e dilawar waali hai

be parda shaam ki...


be gor o kafan islam tha jab

de kar chadar boli zainab

ye saari sakhawat khoon mein mere

taaseer ye hyder waali hai

be parda shaam ki...


durron ki aziyat sehti hui

taa shaam gayi ye kehti hui

ye khutbon ki talwaar nahi

tehreer ye shabbar waali hai

be parda shaam ki...


jis waqt azan raahon mein suni

sar dhaamp ke haathon se boli

ay nana din ye dard ke hai

ye baat muqaddar waali hai

be parda shaam ki...


abbas ka sar naize se gira

sar zainab ka dekha jo khula

ye taaza musibat ghazi par

shamsheer sikandar waali hai

be parda shaam ki...


darbar e sitam mein shahzadi

pahunchi to qayamat barpa thi

har ek sitamgar kehta tha

ye saa'at mehshar waali hai

be parda shaam ki...


kehti thi sakina ro ro kar

kab jayenge zindan se ghar

zainab ne kaha ye baat na kar

ye chot hai khanjar waali hai

be parda shaam ki...


ay nasir ay rehan e aza

zainab ko ye keh kar do pursa

ye ashk nahi ruk sakte kabhi

ye mauj samandar waali hai

be parda shaam ki...