Berida Shaam ke darbar me Jana Zainab
Zalzale aayenge jis waqt zami'n ko paiham
Chaadarein chheen ke leja'enge baaniye sitam
Aur balwe me tamashaai bane namehram
Apne baalon hi se mu Apna chhupana Zainab
Berida Shaam ke darbar me Jana Zainab
Meri Nadaan Sakina ko na rone dena
Baad Mere koi takleef na hone dena
Garm reti pa kabhi us ko na sone dena
Apne seene pa Sakina ko Sulaana Zainab
Berida Shaam ke darbar me Jana Zainab
Ghurkiyaa'n Meri Sakina ko jo de shimr-e laee'n
Sayliaan maarne aaye jo usse wo be dee'n
Khaof ke maare nikal jaaye na jangal me kahin
Apni Aaghosh me Tum Usko sulaana Zainab
Berida Shaam ke darbar me Jana Zainab
Ye luta karwa'n jis waqt Madina pohnche
Aake jo Dukhtare Bimar Pidar ko poochhe
Aur besheer ko jis waqt wo dukhiya poochhe
Meri Sughra ko kaleje se lagana Zainab
Berida Shaam ke darbar me Jana Zainab
Qafela Ahle Haram ka jo Madina jaay
Aur asnaa-e safar me Mera maqtal aay
Tum ko fursat jo ghadi bhar ke liye mil jaay
Chand aansu meri turbat pa bahana Zainab
Berida Shaam ke darbar me Jana Zainab
Karbala me jo Mere ghar pa musibat guzri
Aur bazaaron me Tum par jo aziyat guzri
Mukhtasir ye hai ke jo kuch bhi qayamat guzri
Saari roodaad Meri Maa ko sunana Zainab
Berida Shaam ke darbar me Jana Zainab