be rida shaam ki galiyon se guzar zainab ka
phir se abid pe hai tehreer safar zainab ka
khoon e shabbir ki har boond ka maqrooz bashar
khoon e shabbir hai maqrooz ye magar zainab ka
be rida shaam ki galiyon...
gir pada khaak pe abbas ka sar maqtal may
nok e naiza se na dekha gaya sar zainab ka
be rida shaam ki galiyon...
lashkar e shaam ki tayghon may ghira hai akbar
chup gaya kitni ghata'on may qamar zainab ka
be rida shaam ki galiyon...
laash e akbar se lipat kar ye hawa kehti thi
kitna chalni kiya barchi ne jigar zainab ka
be rida shaam ki galiyon...
ye alag baat ke mehfooz raha deen e rasool
ye alag baat ke loota gaya ghar zainab ka
be rida shaam ki galiyon...
jis jagah shaam e ghariban ki ho majlis barpa
zikr hota hai wahan taa'ba sehar zainab ka
be rida shaam ki galiyon...
aur goonjega abhi arz o samaa may mohsin
matam e ibne ali may hai asar zainab ka
be rida shaam ki galiyon...