Deis Begaana Yahan Koi Madadgaar Nahi
1)Shaamiyon Sharm Karo, Dur Hato Parda Karo
Zahra Sani Hai Kabhi Aayi Hai Bazaar Nahi
2)Chaderein Gar Nahi De,te Toh Bataao Mujhko
Kya Nabi Zaadiyan Ye Khums Ki Hakdaar Nahi
Maang Ta In Ke Siwa Kuch Bhi Ye Beemar Nahi
4)Ay Shimar Zulm Na Kar Ro Ke Toh Fizza Ne Kaha
Taaziaane Ke Kabl Abid Beemar Nahi
Hai Abhi Deir Sajaa Shaam Ka Darbaar Nahi