Kanz e Aza

Chal Diye Shabbir

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Baba Nisaar Haideri. Lyrics in Roman Urdu.

chal diye shabbir ya rab sar katane ke liye

kaun hai ab chadare zainab ko bachane ke liye


aa ke ya abbas dekhe bekasi shabbir ki

aayi zainab zeen par shaah ko bithane ke liye

chal diye shabbir...


choom kar baazu kaha shabbir ne hum to chale

tum raho tayyar zainab shaam jaane ke liye

chal diye shabbir...


hashr tak deodi pe maa karti rahegi intezar

bhej kar baysheer ko pani pilaane ke liye

chal diye shabbir...


laashe asghar godh mein hai aur laashon par nazar

shah kise awaaz dein turbat banane ke liye

chal diye shabbir...


qabre asghar khud bana li fatema ke laal ne

godh mein jhoole ke aadi ko jhulane ke liye

chal diye shabbir...


mil gaye hyder ka dil zabte hassan sabre hussain

gardan e asghar se paikaan kheench laane ke liye

chal diye shabbir...


jin ki aamad se bana buth khana ay khana e khuda

reh gayi aulaad unki qaid khane ke liye

chal diye shabbir...


kyun rahe zulmat mein hum jab ke nisar apne hussain

noor ka minaar hai saare zamane ke liye

chal diye shabbir...