chauda sadiyan beet gayi shabbir ka charcha baaqi hai
quran ab tak bol raha hai khaana e kaaba baaqi hai
karbobala ka leke sahara gumbade khizra baaqi hai
saare jhande toot chuke hai haq ka pharera baaqi hai
goonj raha hai naame mohamed zikr khuda ka baaqi hai
chauda sadiayan beet...
in chauda sadiyon ke andar chauda sau toofan uthe
umavi harkaarein daurein aur abbasi sultan uthe
laat o hobal seeno mein chupe thay haathon par quran uthe
jinki bunyadon mein lahoo tha qasr wo aali shaan uthe
sab deewarein baith gayi mazloom ka rauza baaqi hai
chauda sadiayan beet...
kya jaane kin kin qaumon ne dere daale darya par
aaye aakar laut gaye sab gore kaale darya par
ab bhi milenge toote huwe kuch khanjar bhaale darya par
qabza karne aaye thay sab taaqat waale darya par
sab ka qabza khatm hua abbas ka qabza baaqi hai
chauda sadiayan beet...
taygh o tabar ne rasta roka faujon ki yalghaar hui
laal o gohar ne daam lagaye sikkon ki jhankaar hui
lambi qabaon waale uthe fatwon ki bharmaar hui
deeda e ibrat tu hi bata ye jeet hui ya haar hui
sajde mein sar kaat diya tha lekin sajda baaqi hai
chauda sadiayan beet...
pyason ke inkar ka pathar maqtal meni tha kitna bada
laakhon fitne uthe lekin phir sar e bayyat uth na saka
ab bhi kisi ke dil mein tamanna bayyat ki uth'ti hai zara
kehta hai abbas ka parcham fikre yazeedi hosh mein aa
jisne tujhe maara tha tamacha dekh wo panja baaqi hai
chauda sadiayan beet...
taaqat par itraate kyun hai deen e elaahi ke dushman
baitha hua hai parde mein talwaar liye ek khalla shikan
silsila e ismat ka khulasa seena e gayti ki dhadkan
aarzoo e zehra o payambar jaane hussain o roohe hassan
badr o ohad ke bhagne waalon aakhri hamla baaqi hai
chauda sadiayan beet...
laakh mitao mit na sakega aale nabi ka naam o nishan
laawaris samjho na isay ye khaliq e akbar ka hai makaan
bayt se ahlebayt ka rishta kya todenge ehle jahan
kya jaane kab baam e falak se goonj uthe awaa e azaan
ay kaabe ke thekedaron kaabe waala baaqi hai
chauda sadiayan beet...