ye mila karbal mein ahmed ko risalat ka sila
dasht mein khoone shahe ahmed bahaya jaa raha hai
yun charaghe fatema zehra bujhaya jaa raha hai
khaak zehra hai udaati peet'te hai sar nabi
gardane shaahe zaman pe khanjar chalaya jaa raha hai
dasht mein khoone...
maa lipat kar ro rahi hai jhoole se baysheer ke
aur udhar teer e sitam se pani pilaya jaa raha hai
dasht mein khoone...
thi qayamat ki ghadi maidan mein shabbir par
naujawan bete ka laasha tanha uthaya jaa raha hai
dasht mein khoone...
ya ali aao madad ko ro ke fizza ne kaha
ab tumhari betiyon ko qaidi banaya jaa raha hai
dasht mein khoone...
akbar o abbas o qasim khoon se baysheer ke
is tarha irfan e deen ka gulshan sajaya jaa raha hai
dasht mein khoone...