DASHT-E-BALAA MEIN GOONJTE THE FATIMA KE BAIN
BEKAS MERE HUSSAIN – BEKAS MERE HUSSAIN
Jalti huwe zamee’n pe hai Laashe Shahe Zaman
Teghoo’n se choor choor hai Shabbir ka badan
Ab karbala ki qaak hai mazloom ka kafan
Ghalta hai qaak-o-khoon mein Zehra ka noor-e-ain
Paamaal run mein hogaya laasha Hussain ka
Un zaalimo’n ko rokne wala koi na tha
Tum sorahe ho neher pe Abbas-e-Bawafa
Aaye to kaise aaye Dil-e-Fatima ko chain
Ek bezuba’n ka hausla-e-jung haye haye
Sookhe gale par teere sitam khaake muskuraye
Pani ke ek sawaal pe jo khoon mein nahaye
Dafna rahe hain laash ko ab Shah-e-Mashraqain
Ibn-e-Hasan ke byaah ka manzar ajeeb tha
Shaadi ke ghar me aik qayamat si thi bapa
Sar ko jhukaye baithi thi aik paikare haya
Dil mein lagi thi aag magar kar saki na bain
Zainab ke laal Aun-o-Mohammed nahi rahe
Bekas ghareeb dasht mein kis kiska gham kare
Beto’n ka daagh dil pe ye maa kis tarah sahe
Kehti hai bequsoor tha bhai mera Hussain
Akber gaye to Shai ki basaarat chali gayi
Beta jawaan margaya quwwat chali gayi
Akber ke saath zeest ki lazzat chali gayi
Khaata hai run mein thokare Zehra ka Noor-e-Ain
Jalte huwe qayaam wo sehraye nainawa
Ghash mein pada hai Abid-e-Beemar-e-Karbala
Bistar dehek-ti aag ke sholo’n mein ghir gaya
Saidaniyo’n mein barpa hai har simt shoro shain
Nauha Sohail tumne ye kya khoob hai kaha
Deti rahegi tumko dua Bint-e-Fatima
Kya door hai mile jo tumhe dil ka muddua
Tumko sahara baqshegi Bint-e-Shah-e-Hunain