HAYE MARA GAYA SHABBIR HAMARA PYAASA
Tujh se sairaab huwa lashkar-e-adae Hussain
Tar huwe tujhse na sookhe huwe lab aaye Hussain
Kya zaroori tha ke sab tere qaree ‘n aaye Hussain
Door itni na thi moujood se tere paaye Hussain
Alqama reh gaya Zehra ka dulara pyaasa
Rehm khaya na tera Fatima ke jani par
Pehre bithladiye aada ne tere pani par
Kiya majboor Nabi Zaade ko qurbani par
Aaj tak behte hai aansoo teri mehmani par
Alqama reh gaya Zehra ka dulara pyaasa
Al-Atash kehta huwa jo koi paas aata tha
Qalb-e-Shabbir mein ek aag laga jata tha
Shiddat-e-Aab ka ehsaas badha jata tha
Pyasi aankhon mein tera aks utar aata tha
Alqama reh gaya Zehra ka dulara pyaasa
Har mujahid tere sahil se gaya tashnadahaa’n
Saamne khai tere Akber-e-Mehroo ne sinaa’n
Hichkiya leta raha tadame aakhir wo jawaa’n
Tu udhar behti thi aansoo the idhar Shai ke rawaa’n
Alqama reh gaya Zehra ka dulara pyaasa
Tishnagi se huwe ghash bali Sakina jis dam
Aaye Abbas tere paas liye mashk-o-alam
Chhid gayi mashk huwe Baazu-e-Abbas qalam Ki kate haathon ne sahil pa ye tehreer raqam
Alqama reh gaya Zehra ka dulara pyaasa
Zikr-e-Shabbir ne di fikr ko parwaaz nayi
Le nayi soz naya fitrat-e-ghamaz nayi
Baat Kirmani na hogi nazar andaaz nayi
Aaj dariya ko sunade tu ye aawaaz nayi
Alqama reh gaya Zehra ka dulara pyaasa