HAI SHEH KI ANKHON MEIN GURBAT KA WO SAMAA’H ZAINAB
TUMHARA SAJDA WO LASHON KE DARMIYAN ZAINAB
Nisar kar diye bhai pa apne laqte jigar
Shaheed hogaye maidaa’n mein donon nor-e-nazar
Nigah akhri dum tak bhi ki na darya par
Ujard gaya tera ek din me gulsitaa’n Zainab
Ajeeb zulm ki ek aandhi karbala mein chali
Bas aik din mein tumhari ujard gaye godi
Thi donon beton ke lashon pe khak maqtal ki
Tumhare gham pe na kyunn roe ye jahaa’n Zainab
Hamhesha Aon-o-Mohammed ke chand se chehre
Juda na hoenge bibi kabhi khayalon se
Tumhare pehlu mein donon ye laal sote the
Bahot rulayenge tumko ye neem jaa’n Zainab
Wo kamsini mein wo shiddat ki pyas ka alam
Har ek simt se donon pe ashkiya ke sitam
Kabhi sina kabhi khanjar ke waar the paiham
Na bhul paongi lashon pa wo nishaa’n Zainab
Palat ke jaogi ghar laal yaad aaenge
Bala ke dasht mein apna wo ghar basayenge
Adayein donon pisar ki bahot rulayenge
Girengi dil pe museebat ki bijliyaa’n Zainab
Sohail Aon-o-Mohammed ke aaye jab lashe
Qayaam-e-Shah mein saidaniyon ke the nale
Saf-e-Aza pe jo Zainab ko tham ke laye
Tadap ke leti thi ghut ghut ke hichkiyaa’n Zainab