HASRAT BHARI NIGAH SE DEKHTI RAHI MADAR
GALE PE ASGHAR-E-MASOOM KE CHALA KHANJAR
Kabhi na bhule gi madar wo dard ka manzar
Wo lena hichkiyan shiddat ki pyas se ro kar
Laga hai seene se khaime mein jo rahi muztar
Raha zuban pe sada haye ay Ali Asghar
Zameen-e-Karbobala kyun na tujh ko raas aye
Abhi na godh ki garmi bhi khatm ho paye
Jo kam sini mein mere laal tujh ko maut aye
Teri judaye mein marjaye gi teri madar
Nikalne paye na armaan koi aye beta
Tujhe to ghutniyon chalna bhi na naseeb huwa
Na bhul paye gi madar kabi ye dagh tera
Mila na pani ka khatra tujhe mere dilbar
Wo tishnagi se tardapna tumhara ro ro ke
Ye khushk hoton pe qurban aye mere bache
Hai mere ab bhi taswwur mein bas wohi lamha
Diya hai dagh mere laal ye mujhe kyu kar
Mai tujh ko seene se apne laga ke layee thi
Na dur hone di khud se mai ek pal bhi kabhi
Bala ke dasht mein meri ujard gaye goodi
Suhaag ujard gaya mai lut gaye yahan aakar
Fugha ye karti thi Bano Sohail lashe par
Bhala mai jeeke karun kya bata Ali Asghar
Zameen-e-garm pe tum sogaye mere dilbar
Na pyas Qasim-o-Abbas na Ali Akber