Kanz e Aza

Haye Asghar Wawaila Haye Asghar Wawaila

A noha for Ali Asghar (a.s), recited by Anjuman e Aon o Mohd. Lyrics in Roman Urdu.

Haye Asghar Wawaila Haye Asghar Wawaila

tha Ye Bano Ka Nauha Haye Asghar Wawaila

01. Aaja Aaja Noor E Nazar.ro Ro Kehti Hai Madar

jeeena Nahi Ab Tere Bina Haye Asghar Wawaila


02. Tashnalabi Maidaan Jhula.tera Tabasum Halkasa

teri Shahadat Ka Nauha Haye Asghar Wawaila


03. Zulm Hua Tujh Par Aisa.teer E Sitam Masum Gala

mara Gaya Ran Me Pyasa Haye Asghar Wawaila


04. Jhula Jhulaau Mai Kisko Lori Sunau Mai Kisko

itna Bata De Aye Beta Haye Asghar Wawaila


05. Jhula Khaime Gowd Meri Aur Ye Dunya Bhi Sari

veera Hai Sab Tere Bina Haye Asghar Wawaila


06. Sar Ko Jhukaye Shahe Huda Lashe Pisar Par Dale Abaa

kehte Chale Innalilla Haye Asghar Wawaila


07. Khod Ke Beta Qabr Teri Zulm Ki Aandhi Aisi Chali

kaata Gaya Phir Zakhmi Gala Haye Asghar Wawaila


08. Soti Thi Jiske Seene Par Shashmahe Teri Qaahar

tujhko Mila Hai Wo Seena Haye Asghar Wawaila


09. Aage Aage Jhule Ke Haath Me Bache Kooze Liye

padhte Hai Sab Ye Nauha Haye Asghar Wawaila


10. Zulmo Sitam Sab Haste Rahe Baano E Muztar Kehti Rahi

qabr Me Bhi Sone Na Diya Haye Asghar Wawaila


11. Kawishe Fikre Anwar Se Sunke Ye Nauha Hydar Se

kehte Hai Sab Ahle Aza Haye Asghar Wawaila