baad az hussain
Islam bachaya hai sajjad ne zainab ne
waade ko nibhaya hai sajjad ne zainab ne
har gaam pe abid ne sarwar ka kiya matam
gham bhool gayi apna bhai ka kiya hai gham
dil khoon banaya hai sajjad ne zainab ne
islam bachaya hai....
is farshe zameen par hi sarwar ki aza karke
sajjad ne zainab ne majlis ki bina karke
matam yun sikhaya hai sajjad ne zainab ne
islam bachaya hai....
chalees baras aansu behte rahe abid ke
zainab ne kiya matam mazloomiye sarwar pe
yun roke rulaaya hai sajjad ne zainab ne
islam bachaya hai....
kya sabr ki quwwat hai abid ne bata daala
khutbo se sare zaalim zainab ne jhuka daala
baatil ko mitaya hai sajjad ne zainab ne
islam bachaya hai....
har ashke aza sheh ka marham hai azadaron
har waqt karo matam shabbir ke ghamkharo ki tumse tamanna hai sajjad ne zainab ne
islam bachaya hai....
mayyat pa ghurbat thi zainab ko bhi rulwayi
ay kaash sakina ko de paata kafan bhai
ye gham bhi uthaya hai sajjad ne zainab ne
islam bachaya hai....
sajjad ki zainab ki pur dard kahani hai
dawar ka likha noha hyder ki zubani hai
matam ko bulaya hai sajjad ne zainab ne
islam bachaya hai....