Kandoo pe shareefo ne haay shahe khurasan ka taboot utha hai
Dhooke se musalman ne kazim ke dulaare ko haay zaher pilaaya hai
1)is zaher saqeefa ka yoo hote asar dekha kazim ka bhi tukde se shabar ka jigar dekha
Mazloom raza par bhi mamoon ne mashad
me ye zulm kamaaya hai
2)bhai ki mohabbat me nikli thi madine se dushwar safar karke aai thi pahado se
Pardes me bhai se phir bhi na mili bibi is gham ne rulaya hai
3) mashad ko chali zehra haay zakhmi liye pehlu hai khaake shifa sar me ankhoon se rawaan ansoo
Ummat ne mohd ki khatoon e qayamat ko phir baqiya chudaya hai
4)sang zehra o shabbar ke yasrab se chale sarwar karbal se hussain aye chood aye najaf hyder
Haqdaar hai lanat ka pardes me dil jisne panjetan ka dhukaaya hai
5)ye baabe hawaij hai markaz hai shifaoon ka jawad raza mola zamin hai razaoon ka
Baksha wahi jayega jis ne mere mola ka taboot utha hai