Kar gaye sajjad qaza haaye haaye
Zehr sitamgar ne diya haaye haaye
Zulm se li jaan sitamgaaro'n ne
charqe kohan phat na pada haaye haaye
Ho gaye be waarise sab ahlebait
kar gaya sardaar qaza haaye haaye
chain na paaya kabhi baade hussain
sehte rahe zulmo jafa haaye haaye
Aati hai har ek makaa'n se sada
Haaye ghareebul ghoraba haaye haaye
Mehdi hua mehshar taaza bapa
ro rahe hai aale abaa haaye haaye