Jaate ho kis pa chord ke moula bataaiye
Hai bekaso'n ka koun sahaara bataaiye
Lega qabar yateemo'n ki ab koun ya Ali
Ab koun dega unko dilaasa bataaiye
Muh ko hasan ke aur guloo'e Hussain ko Kyu'n bhar ke aah aap ne chooma bataaiye
Baatega koun rotiyaa'n bhooko'n ko ya imaam
kya hashr un ghareebo'n ka hoga bataaiye
Bosa diya hai baazue Zainab pa kis liye
Iska sabab bataiye aaqa bataaiye
Ab kis ke dar pa jaayenge aaqa tere ghulaam
Be waariso' ka kya hai thikaana bataaiye
Baaqar zabaane haal se mimbar ne di sada
ab koun dega koofe me qutba bataaiye