Kanz e Aza

Ho Mere Laal Kahan

A noha for Ali Asghar (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

ho mere laal kahan


haye jangal ka wo sannata wo pur haul fiza

aur aise mein kisi dukh bhare dil ki wo sada

jaise bichdi hui aulaad ko dhoonde koi maa

ho mere laal kahan…


tum gaye jab se ajab haal hai beta mera

koi soorat se nahi qalb sambhalta mera

godh ujdi hai nazar aata hai jhoola veeran

ho mere laal kahan…


khud ba khud haat uthe jaate hai lene ko tumhe

kab se bechain hoo mai loriyan dene ko tumhe

ho gayi raat bas aa godh mein aao meri jaan

ho mere laal kahan…


kis ki aagosh hai is ban mein basayi beta

neendh kis tarha mujhe chod ke aayi beta

maa ko bhi paas bulalo wahin sotay ho jahan

ho mere laal kahan…


zakhm gardan ka khuda jaane dhulaya ke nahi

jism se khoon bahara kurta wo utaara ke nahi

kya lahoo zakm se nawak ke abhi tak hai rawan

ho mere laal kahan…