Kanz e Aza

Hoagaya Qatl Shahe

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Mir Bober Ali. Lyrics in Roman Urdu.

hogaya qatl shahe karbobala wavaila

rote hai peet ke sar ahle aza wavaila


teer se hogaya zakhmi ali akbar ka jigar

umme laila ne kaha laash pe ay noore nazar

maa se kuch baat karo utke zara wavaila

hogaya qatl shahe...


haye jalte huwe sehra may tadap bachon ki

hogaye nehr pe abbas ke baazu zakhmi

koi bachon ka muhafiz na raha wavaila

hogaya qatl shahe...


laash dulhe ki kuch is tarha se pamaal hui

umme farwa ne jo dekha to na pehchan saki

haye qasim pe hui kaisi jafa wavaila

hogaya qatl shahe...


kat gaye pyaas may phir aun-o-mohamed ke gale

fidya e raahe khuda hogaye godi ke pale

hogaya qaimon may kohram bapa wavaila

hogaya qatl shahe...


fatema ne bade naazon se jise paala tha

jo payambar ke gharane hi ka ujiyala tha

asre ashoor kata uska gala wavaila

hogaya qatl shahe...


zulm dhaate rahe sajjad pe har waqt layeen

berida dekh ke zainab ko tadapti thi zameen

aasman girya kuna gham se huwa wavaila

hogaya qatl shahe...


jalgaye qaime to saydaniya aayi ban may

laashe jitne bhi thay be-gor o kafan thay ran may

chingayi bibiyon ke sar se rida wavaila

hogaya qatl shahe...


ay bober rok qalam tukde jigar hota hai

sunke nauha tera har jinn o bashar rota hai

chagayi charon taraf gham ki fiza wavaila

hogaya qatl shahe...