Kanz e Aza

Hosla Islam ka

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Sahir Faizabadi. Lyrics in Roman Urdu.

karbala walon mein dekho hosla islam ka

sar kata kar sar kiya hai maareka islam ka

karbala walon mein…


sochta hoo kya banega ya khuda islam ka

har kaso na kas bana rehnuma islam ka

karbala walon mein…


jab bhi dekha hai ghalat haaton mein lashkar ka alam

doobta suraj nazar aane laga islam ka

karbala walon mein…


fathe khyber ya mohamed ab koi mushkil nahi

lijiye wo aa gaya mushkil kusha islam ka

karbala walon mein…


marhaba ay na khuda e kashti e ahle haram

tum nahi hotay to beda ghark tha islam ka

karbala walon mein…


kaun kehta hai mulukiyat ko islami nizam

dushmane islam se kya waasta islam ka

karbala walon mein…


taqte shaahi par rahe ya zere damane hussain

karbala mein ho chuka faisla islam ka

karbala walon mein…