Kanz e Aza

Hurr ki Surat Jo

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Sachey Bhai. Lyrics in Roman Urdu.

hurr ki surat jo samajh mein kahin aa jaye hussain

ek ek saans sada dene lage haye hussain


sar uthaata nahi sajde se khuda ka mehboob

aap hi pusht se jab tak na utar jaaye hussain

hurr ki surat jo...


maut bhi aayi to qadmon se uthi le ke hayaat

ban gayi khaake shifa khaake kaf e paaye hussain

hurr ki surat jo...


ta hayaat ek ke baad ek pisar rahib ko

bakhshta jaye khuda kehta agar jaye hussain

hurr ki surat jo...


chod kar aa gaye kyun ran mein ali asghar ko

kis tarha banu e dilgeer ko samjhaye hussain

hurr ki surat jo...


shimr ne halq pe pyase ke jo khanjar rakha

kund khanjar se sada aane lagi haye hussain

hurr ki surat jo...


ro ke zainab ne kaha kaise sambhalun dil ko

bekafan dekh ke tujhko mere maajaye hussain

hurr ki surat jo...


rakh ke sar sajda e mabood mein sarwar ne kaha

jo hai mansha e elaahi hai wo mansha e hussain

hurr ki surat jo...


waasta de ke husain ibne ali ka maango

rad nahi karta khuda koi tamanna e hussain

hurr ki surat jo...