HURMULA ZULM NA KAR
KHETI THI RORO KAR
HAR SAMANDAR KI NAZAR
Tera Ye Teer Kaha Aur Ye Besheer kaha
Phool Ka Hai Phaikar
Maa Ka Armaan Hai Ye
Kunbe Ki Jaan Hai Ye
Sheh Ka Hai Laqt-e-Jigar
Dekh Rote Hai Nabi
Hath Malte Hai Ali
Fatima Hai Muztar
Qushk Hai Uska Gala
Teer Zalim Naa Chala
Bezaba Hai Asghar
Hichikiya Hain Paiham Aur Hai Chere Pe Varam
Pyaas Ka Hai Ye Asaar
Che Mahine Ka Hai Ye Laal
Tashnagi Se Nidhaal
Muztarib Hain Madar
Haye Wo Kaise Jiye
Apne Bache ke Liye
Maa Tadapti Hai Udhar
Baal Khole Zehra
Karti Hai Aa-o-Buka
Ambiya Hai Muztar
Phool Sa Tha Chera
Aab Hai Murjhaya Huwa
Lag Gayi Kiski Nazar
Ghar Mei Jhula Dale
Apne Bhai Ke Liye
Muntazir Hai Qawhar
Aisa Hota Hai Kahin
Kya Tu Insaan Nahi
Kya Nahi Tujko Qabar
Haye Bhuke Pyase
Kabse Hai Ye Baccha
Tashnalab Tashna jigar
Karbala Mei Ahsan
Qatm Tha Ranjo Mahan
Khete The Jin-o-Basha