Kanz e Aza

Haq Kar Gaye Ada

A noha for Aon o Mohd (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

haq kar gaye maadar ke ada saare ke saare

mamu pe fida hogaye zainab ke dulare

haq kar gaye…


samjhaati thi bachon ko bade pyar se zainab

bhoole se na jaana kabhi darya ke kanare

haq kar gaye…


pyasi hai sakina rahe har aan yehi dhyan

pani ka tasavvur na ho zehno may tumhare

haq kar gaye…


ghodon se giro bhi to sada ran se na dena

dekho mai khafa hongi jo mamu ko pukare

haq kar gaye…


mai qaime se dekhungi jari kaun hai tum may

lalkaar ke pehle jo bine-saad ko maare

haq kar gaye…


wada jo kiya maa se wafa kar gaye dono

pyase hi lade pyase hi dunya se sidhaare

haq kar gaye…


sad hai to hai ay dashte bala teri zameen ne

sab cheen liye zainabe muztar ke sahare

haq kar gaye…


paala tha jinhe godh may wo jaa base ban may

ab kaun hai zainab ko jo maa kehke pukaare

haq kar gaye…