haq ki azmat hai azal se ghame shabbir ke haath
jao aur kar do qalam kaatibe taqdeer ke haath
keh do dunya se koi aur thikana dhoonde
khuld to bik chuki ashke ghame shabbir ke haath
haq ki azmat hai...
deen ki uqda kushayi ka jab aaya hai khayaal
shaah ne choom liye zainab e dilgeer ke haath
haq ki azmat hai...
ye musalman bhala aaj musalman hote
bayyat e kufr ko bach jaate jo shabbir ke haath
haq ki azmat hai...
kaash abbas ko ladne ki raza mil jaati
dekhti fauje adoo hyderi shamsheer ke haath
haq ki azmat hai...
itna nazuk tha nishana ke ghalat ho jaata
teer ki zad pe laraz jaate jo shabbir ke haath
haq ki azmat hai...
kausar o khuld ki keemat se zyada dengi
bech do ashke aza maadare shabbir ke haath
haq ki azmat hai...
karbala jaaye wasi dil mein tamanna hai magar
aabru apni tamanna ki hai taqdeer ke haath
haq ki azmat hai...