darbar mein khadi hui kehti hai fatema
baba wo ab madina madina nahi raha
haq maangti hai zehra majma hai baaghiyon ka
baba tere watan mein
pardesiyon ki tarha rehti hai ab ye dukhiya
baba tere watan mein
ab log fatema ko pehchante nahi hai
mai aap ki hoon beti ye maante nahi hai
koi nahi hai mera mai reh gayi hoon tanha
baba tere watan mein
haq maangti hai zehra...
gham ye nahi hai mujhko darwaza jal gaya hai
is se bada sitam to zehra pe ye huwa hai
dar jal raha tha mera koi na ghar se nikla
baba tere watan mein
haq maangti hai zehra...
dar mujhpe zaalimon ne jalta hua giraya
mai gir padi zameen par ghash is tarha se aaya
mohsin jahan se guzra pehlu hua shikasta
baba tere watan mein
haq maangti hai zehra...
mai bhi khadi hui thi hasnain bhi khade thay
masjid mein meri jaanib sab log dekhte thay
ye zakhm na bharega mai ban gayi tamasha
baba tere watan mein
haq maangti hai zehra...
koi salaam aa kar karta nahi tha pehle
ab to jawab dena laazim nahi samajhte
har shakhs bhool baitha rutba abul hassan ka
baba tere watan mein
haq maangti hai zehra...
ghut ghut ke apne ghar mein aansu baha rahi hoon
har zakhm murtaza se apna chupa rahi hoon
khaaya hai taziyana zakhmi hai mera chehra
baba tere watan mein
haq maangti hai zehra...
fizza ke ab sahare mai uth'ti baith'ti hoon
kha kar tamacha jab se mai khaak par giri hoon
ye zulm mujhpe toota mai ho gayi zaeefa
baba tere watan mein
haq maangti hai zehra...
baba se wo takallum shikwa ye kar rahi hai
ummat ko fatema se kya jaane dushmani hai
ho raat ya sawera turbat pe hai andhera
baba tere watan mein
haq maangti hai zehra...