Kanz e Aza

Har Saans Matami ki

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Mir Takallum. Lyrics in Roman Urdu.

har saans matami ki shabbir tere naam

allah kar raha hai maula tujhe salaam


aayat kar rahi hai maula teri tilawat

hai deen e mustafa ki zaamin teri shahadat

jo kar na paaya koi tu ne kiya wo kaam

har saans matami ki...


cheh maah ki amanat ran mein chupayi tu ne

jalti hui zameen pe turbat banayi tu ne

taygh e ali se maula kaisa liya hai kaam

har saans matami ki...


mal kar wazoo ki khaatir chehre pe khoon e asghar

be jaan namaziyon ki ran mein safein bicha kar

shabbir kar rahe hai sajde ka ehtemaam

har saans matami ki...


ghar lut gaya saara bete bache na bhai

nok e sina se dekhi behno ki be-ridayi

tujh par hui hai maula mazloomiyat tamaam

har saans matami ki...


kaisa muhabbaton mein taqseem hogaya hai

bete ke saath laasha ran mein pada hua hai

naize pe sar gaya hai beti ke saath shaam

har saans matami ki...


karbobala se paidal pur khaar raaston par

aayega roz milne ghazi ko saath le kar

jab tak karegi zainab zindan mein qayaam

har saans matami ki...


mera bane thikana karbobala ki jannat

har dam hai ye takallum momin ke dil ki hasrat

mai bhi kafan na paaun ay be kafan imam

har saans matami ki...