Kanz e Aza

Kaash Akbar Tere

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Mir Takallum. Lyrics in Roman Urdu.

kaash akbar tere jaisa tera beta hota

tujhko andaza mere darde jigar ka hota


maangne aata jawani mein wo marne ki riza

aur beta bhi tera hota mohamed jaisa

pooch kar dil se bata haal tera kya hota

kaash akbar tere...


kis tarha karta jawan laal ko rukhsat beta

kaise deta usay marne ki ijazat beta

teri behno ne jise naaz se paala hota

kaash akbar tere...


kaampte haath larazte huwe saanson ke qadam

kis tarha dekhta aankhon se nikalte huwe dam

pyaar bhi us se tujhe sab se zyada hota

kaash akbar tere...


tere hisse mein meri jaisi ghareebi aati

waqt se pehle mere laal zaeefi aati

wo pisar saamne jab khoon mein dooba hota

kaash akbar tere...


dekhta aankhon se jab noor-e-nazar ke tukde

baap ke moo se nikal aate jigar ke tukde

saath barchi ke jo haathon pe kaleja hota

kaash akbar tere...


khaak par khoon mein tadapti ho nabi ki tasveer

sabr kar leta bata haath mein rakh ke shamsheer

jab ke haste huwe qaatil ko bhi dekha hota

kaash akbar tere...


tujhko maaloom bhi hota na uthega ye pisar

kya tere dil pe guzarti ye bata de akbar

uski sughra ka bhi khat aane hi waala hota

kaash akbar tere...


bas ye kehte thay takallum shah e waala ro kar

hoti akbar teri aulaad zamane mein agar

tujhko ehsaas mere dil ki tadap ka hota

kaash akbar tere...