Kadyal jawaan beta maidaa’n ko ja raha hai
Thaame jigar ko piche khud baap aa raha hai
1. Deene khuda ko bachaane akbar sa shahzada
Barchi jigar pa khaake khoo’n me naha raha hai
2. Qaime me bibiyaa’n sab roti’n hain peetkar sar
Misle janaaza akbar qaime se jaa raha hai
3. Beta jawaan shah ka ran me hua hai zaqmi
Aankho’n me shahe dee’n ke andhera cha raha hai
4. Thame jigar shah jab laashe pisar pa pohanche
Zaqmi jigar ko akbar sheh se chupa raha hai
5. Abbas hain na qasim na aon o mohammad
Akbar bhi ab to shah ka marn e ko jaa raha hai
6. Mayyat jawaa’n pisar ki maidaa’n se shahe waala
Thaame hue kamar ko tanha utha raha hai
7. Jee bhar ke dekhle ab apne pisar ko laila
Beta jawaan tera duniya se jaa raha hai
8. Nouha to aye ali haq kya khoob hai ye likha
Sun kar harek isko aansu baha raha hai
Kalaam :Janab Ali Haq Sahab