Khaime se Aarahi hai Sada Ya Ali(a.s) Ya Ali(a.s) Ya Ali(a.s) Madad
Ek Baap Khainchta hai sina Ya Ali(a.s) Madad
1. Tharra rahe'n hai koun o Makaa'n aur Ambiya
Kya saqt imtehaan hai roti hai Syeda
Zibhe Azeem hone chala Ya Ali(a.s) Madad
Khaime se Aarahi hai Sada Ya Ali(a.s) Ya Ali(a.s) Ya Ali(a.s) Madad
2. Lagti hai jo rasool ki beti ke hubahu
Ek baar dekhlu'n use Baba hai Aarzoo
Paya Bahen ko thaame Asa Ya Ali(a.s) Madad
Khaime se Aarahi hai Sada Ya Ali(a.s) Ya Ali(a.s) Ya Ali(a.s) Madad
3. Akbar(a.s) ke kaleje se Sina Baap ne khainchi
Aankho'n me nami aur andheri si chaagayi
Girya kuna hai karbobala Ya Ali(a.s) Madad
Khaime se Aarahi hai Sada Ya Ali(a.s) Ya Ali(a.s) Ya Ali(a.s) Madad
4. Rakhkar jawaa'n ki laash ko Sarwar ne pukaara
Aye Haashmi baccho uthao bhai ka laasha
Koi nahi hai baaqi bada Ya Ali(a.s) Madad
Khaime se Aarahi hai Sada Ya Ali(a.s) Ya Ali(a.s) Ya Ali(a.s) Madad
5. Na Qasim(a.s) o Abbas(a.s) hai na Aon(a.s) o Mohammad(a.s)
Kaise uthaaye laash bhala sibte Mohammad(sws)
koi nahi hai mere siwa Ya Ali(a.s) Madad
Khaime se Aarahi hai Sada Ya Ali(a.s) Ya Ali(a.s) Ya Ali(a.s) Madad
6. Sughra ka khat hai aur hai Akbar(a.s) ka janaaza
ab isse bada Shaah pa gham kounsa hoga
laashe pe khat ko rakhke Ya Ali(a.s) Madad
Khaime se Aarahi hai Sada Ya Ali(a.s) Ya Ali(a.s) Ya Ali(a.s) Madad
7. Maatam hai Bapa Ashk bhi aankho'n se hai jaari
Asghar(a.s) ke gham me doobi hai ye
Asghari
saari
Ghamgeen hai ye saari fiza Ya Ali(a.s) Madad
Khaime se Aarahi hai Sada Ya Ali(a.s) Ya Ali(a.s) Ya Ali(a.s) Madad
Kalaam : Anjumane Asghari