Bas Ali(a.s) ne ki dua aye Khuda
Mujhko ek Sher sa beta ho ata
Ya Abbas(a.s) Ya Abbas(a.s)
Aye Tamanna e Murtaza(a.s) Abbas(a.s)
Tum ho bekas ka Aasra Abbas(a.s)
1. Pyaase Bacche ye roke kehte hain
Paani le aayiye chacha Abbas(a.s)
Aye Tamanna e Murtaza(a.s) Abbas(a.s)
2. Boli Zainab(s.a) madad ko aajao
Chin rahi hai meri rida Abbas(a.s)
Aye Tamanna e Murtaza(a.s) Abbas(a.s)
3. Kyun na hum fatahe furaat kahe'n
Jab hai Qabze me alqama'n Abbas(a.s)
Aye Tamanna e Murtaza(a.s) Abbas(a.s)
4. Pyaase baccho ki aas toot gayi
Mashk par teer jab laga Abbas(a.s)
Aye Tamanna e Murtaza(a.s) Abbas(a.s)
5. Fatima(s.a) ne kaha tha tujhko pisar Kyun ke de gayi'n tuhe dua Abbas(a.s)
Aye Tamanna e Murtaza(a.s) Abbas(a.s)
Kalaam : Janaab Jaffer Sahab