Kanz e Aza

Kalaam : Ustaad e Mohtaram Janaab Dawar Ali Dawar Sahab

A noha for Hazrat Abbas (a.s), recited by Anjuman e Asghari. Lyrics in Roman Urdu.

Ya Abul Fazlil Abbas(a.s) Ya Abul Fazlil Abbas(a.s)

Ya Moula Abbas(a.s) Ya Moula Abbas(a.s)


Abbas(a.s) Abbas(a.s) Abbas(a.s) Abbas(a.s)


1. Aap ke parcham ka saaya jisko bhi miljayega

wo Hussaini matamdaar duniya me kehlayega

Aap ke har matam me aakar roti'n hai Zehra(s.a)


Abbas(a.s) Abbas(a.s) Abbas(a.s) Abbas(a.s)


2. Nazro'n par lashkar ko roka teen din ki pyaas me

Darya se waapas hai aaya teen din ki pyaas me

moujei'n sar ko takraati hain pyaasa hai darya


Abbas(a.s) Abbas(a.s) Abbas(a.s) Abbas(a.s)


3. Khainch ke teero'n ko seene se shumr chadha tha seene par

Yaad jo bhai ki aati thi rote jaate the Sarwar(a.s)

chalta tha khanjar to kehta jaata tha pyaasa


Abbas(a.s) Abbas(a.s) Abbas(a.s) Abbas(a.s)


4. Beti Zehra(s.a) ki bechaadar aati'n hai bazaar me

chadar lekar aao bhai jaana hai darbaar me

uryaa'n sar darbaar me kaise jayegi dukhiya


Abbas(a.s) Abbas(a.s) Abbas(a.s) Abbas(a.s)


5. Zainab(s.a) ko dharas thi tumse aye Ghazi Abbas(a.s)

Sarwar ke baccho'n ki dawar toote dil ki aas

Ahle haram ki har chadar ka ek hi tha nouha


Abbas(a.s) Abbas(a.s) Abbas(a.s) Abbas(a.s)


Kalaam : Ustaad e Mohtaram Janaab Dawar Ali Dawar Sahab