Laaye Shahe Dee’N Maqtal Se, Aun O Mohammed Asws, Ke Lashe.
1. Kijiye Amma Shukre Quda Hogaye Dono Haq Pe Fida. Kehte The Yeh Zainab Sa. Se.
2. Maa Ki Naseehat Ka Tha Asar Ki Na Nazar Bhi Dariya Par. Door Bohot The Saahil Se.
3. Ran Mein Lahoo Se Ghusl Kiye. Tan Pe Kafan Zaqmo’N Ka Liye. Ganje Shaheeda’N Mein Pohonche.
4. Rone Lage Sab Ehle Haram. Uthnr Laga Shore Matam. Qaime Mein Jis Dam Aaye.
5. Dil Mein Liye Toofane Alam. Nauha Kuna Ba Chashme Nam. Hasrat Se Sheh Takte The.
6. Binte Ali Sa., Ne Sheh Se Kaha. Bhayi Baraye Deene Quda. Hai Yahi Zainab Sa., Ke Fidye.
7. Shaame Alam Zainab Dukhiya. Behre Madad Deti Thi Sada. Maa Ki Sada Sun Kar Tadpe
8. Zainab Sa. Ne Dekhe Yawar. Naizo Par Wo Phool Se Sar. Jalti Zamee’N Par The Haaye.
Az: Shayer E Ahlebait As., Janab Yawar Ali Yawar Sahab