Mohsin(a.s) shaheed hogaya zehra(s.a) huin shaheed
Darwaaza gira pehlu pe zehra(s.a) huin shaheed
1. Baade rasool Zehra(s.a) par wo zulm hogaya
jis dar pa aake khud salaam karte the Mustafa(sws)
Wo dar bhi jalaaya gaya zehra(s.a) huin shaheed
2. Saare farishte rote hain jibreel rote hain
Sab momineen rote hain Hasnain(a.s) rote hain
girya kuna hai kibriya zehra(s.a) huin shaheed
3. Haq e Ali(a.s) ke waaste khutba hua insha
Ghasbe fidak nahi wo tha Haq e Murtuza(a.s)
Haq Murtaza(a.s) ka chin gaya zehra(s.a) huin shaheed
4. Fizza se kaha Zehra(s.a) ne Quraa'n main padhti hoo'n
Aawaaz jo sunti raho samjho main Jeeti hoo'n Aur na suno to samjho ke zehra(s.a) huin shaheed
5. Takfeen mein jo dekha ke tooti hai pasliyaa'n
Saiha buland karke jo roye shahe zamaa'n
haaye gazab ye hogaya zehra(s.a) huin shaheed
6. Soncho to zara
Meer
ye mumkin hai bhala Kya
Atthara baras me hi lagti hai zaeefa
Ummat ki seh ke har jafa zehra(s.a) huin shaheed
Kalaam : Meer Kumail Ali