Tanha Hussain(a.s) rehgaya karbal ki zamee'n par
Karti hai nouha Fatima(s.a) karbal ki zamee'n par
1. Bechain hai sughra(s.a) waha'n bhai ke liye par
Akbar(a.s) hai khoo'n me galtaa'n karbal ki zamee'n par
Tanha Hussain(a.s) rehgaya karbal ki zamee'n par
2. Zainab(s.a) ne dono laal bhi khurbaan kardiye
Zainab ka hai ye fidya Karbal ki zamee'n par
Tanha Hussain(a.s) rehgaya karbal ki zamee'n par
3. Pamaal hogaya hai Qasim(a.s) tera laasha
Sibte nabi hai girya karbal ki zamee'n par
Tanha Hussain(a.s) rehgaya karbal ki zamee'n par
4. Har ek shaheed ko mila hatho'n ka sahaara
Bin haath gira saqqa karbal ki zamee'n par
Tanha Hussain(a.s) rehgaya karbal ki zamee'n par
5. Sarwar(a.s) ki kamar toot gayi bhai ke gham me
Beta raha na bhayya karbal ki zamee'n par
Tanha Hussain(a.s) rehgaya karbal ki zamee'n par
6. Garbaal hogaya hai tan mere pisar ka
Sar peet ti hai Zehra(s.a) karbal ki zamee'n par
Tanha Hussain(a.s) rehgaya karbal ki zamee'n par
7. Ye
Asghari
gham khwaar hai besheer ke gham me
Bibi inhein bulaana karbal ki zamee'n par
Tanha Hussain(a.s) rehgaya karbal ki zamee'n par
Kalaam : Mir Kazim Ali Moosvi Sahab