Karbala ka marka yuu sar kiya shabbir as ne
Deen ka kasa saron se bhar diya shabbir ne
______________
Shahed se sheerin hai iska zaiqa mere liye
Keh ke yun jaam e shahadat pi liya shabbir ne
_____________
Hashr tak uski hifazat ko hawa mamoor hai
Khoon se deen ka jalaya jo diya shabbir ne
_________________
Pehre paani par lage the yun bujhai tashnagi.
Badh gayi jab pyas ashkon ko piya shabbir ne
_______________
Thi yahi rab ki Raza maola as ne uf tak na kiya
Seh gaya har zulm hontho ko siya shabbir ne
_______________
Zarre zarre ko pila kar apni sheh rag ka lahoo
Kar diya seraab dasht e mariya shabbir ne
_________________
Kat gai sajde me gardan baiyat e fasiq na ki
Zindagi ko yun usoolon par jiya shabbir ne
_______________
Jabr ka kaata gala *Jawad* tegh e sabr se
Jang ko bakhsha naya yun zaawiya shabbir ne
______________