Nana ne nawaase ne zaher ek sa paaya
Ummat ne risalat ka ajr khoob nibhaaya
1. Milte hi sam ke Ahmad e Muqtaar pukaare
Aye bhai Ali(a.s) paas zara aao hamaare
Aaye Ali(a.s) to inko ajab haal me paaya
Ummat ne risalat ka ajr khoob nibhaaya
2.Shabbar(a.s) ko tha jab zehre halahal pila diya
Saidaniyou'n me ek ajab hashr tha bapa
Zainab(s.a) ne roke bas yahi shabbir(a.s) se kaha
Ummat ne risalat ka ajr khoob nibhaaya
3.Allah ke Nabi ka janaaza tha youn utha
juz Alhebait(a.s) koi bhi shaamil nahi hua
Ummat ne Fatima(s.a) ko baher haal rulaaya
Ummat ne risalat ka ajr khoob nibhaaya
4.Taboot par Hassan(a.s) ke tha teero'n ka saayebaa'n
Rote the dekh dekh ke ye sarware zamaa'n
pehlu me mohammad(saw) ke bhi dafnaane na diya
Ummat ne risalat ka ajr khoob nibhaaya
5. Matam karo ek aaj Qayaamat ka roz hai
do Masoomou'n ki aaj shahadat ka roz hai
Aye
Asghari
duayei'n tumhe dengi Syeda(s.a)
Ummat ne risalat ka ajr khoob nibhaaya
Kalaam : Mirza aur Kumail