Kanz e Aza

KARTI THI FUGHAAN FATIMA ZEHRA MEREBABA

A noha for Rasool-e-Khuda (s.a.w.s), written by Rasheed Shaheedi and recited by Anjuman e Parwana e Shabbir. Lyrics in Roman Urdu.

Karti thi Fughaan Fatima Zehra MereBaba

Beti Huwi Ab Aapki Tanha MereBaba

Bechain bahot apke hain dono Nawase

Ajaaiye ghar hogaya suna MereBaba


Laashe pa Muhammad ke yahi kahti thi Zahra

Yu mujhse khafa hoke na jana MereBaba

Hay Teri Shahadat se har ek simt udasi

Ab hogaya sunsaan Madina MereBaba


Rone bhi nahi'n deta Mujhe Tum pa zamana

Ghut ghut ke main kabtak rahu'n zinda MereBaba

Is tarah bhi Beti se khafa hota hai koi

Deti hay sada Aapki Zahra MereBaba


Hasnain ye kehte hain nahi'n poochhta koi

Kya kahke unhe doon main dilasa MereBaba

Pas Apne bulalo to sukoon aaega Mujhko

Jab Tum na rahe ji ke karun kya MereBaba


Kya kahke sambhalenge Ali Binte Nabi ko

Ghash me hai magar lab pa hay Naoha MereBaba

Bas Binte Nabi ka tha Rasheed ik yahi Naoha

BabaMereBabaMereBabaMereBaba