Kanz e Aza

Kalma go haste rahe fatima roti rahi

A noha for Shehzadi Fatima (s.a) (2022). Lyrics in Roman Urdu.

Haaye Zahra - 2

Zahra, Haaye Zahra - 2

Haaye Sayyada - 4

Kalma Go Hanstay Rahe Fatima Roti Rahi


Jaltay Darwazay Talay Siskiyaan Leti Rahi Haye Maa Zainab Ki

Itni Be Bas Thi Madine Mein Nabi Ki Dukhtar

Jalta Darwaza Kissi Ne Na Uthaya Aa Kar

Haye Kaisa Tha Sitam Rakh Ke Quraan Pe Qadam


Aa Gaye Ghar Mein Shaqi

Tanay Suntay They Yeh Bazar Mein Logon Se Ali

Iss Ne Mara Tha Hamarey Hi Bazurgon Ko Kabhi

Hum Ne Youn Badlah Liya Qatal Zahra Ko Kiya


Kuch Na Kar Paya Ali

Jaisay Qassab Zabihey Ko Liye Jate Hain

Aisay Haider Ko Laeen Khainch Ke Le Aate Hain

Aagay Aagay Hain Ali Pichey Pichey Woh Chali


Jo Hai Zakhmo Se Bhari

Yaad Jab Aata Hai Dil Hota Hai Parah Parah

Kaisay Hasnain Ki Madar Ko Laeen Ne Mara

Khon Aankhon Se Baha Sirf Ya Mehdi Kaha


Our Zameen Par Woh Giri

Sirf Pehlu Nahi Bazu Bhi Shikasta Ho Ga

Tum Ne Kis Tarha Janazay Ko Sanbhala Ho Ga

Kaisay Turbat Mein Rakha Tanha Maiyyat Ko Bhala


Mere Mazloom Ali

Baap Ki Qabar Pe Dewarein Pakar Kar Jana

Our Rotay Hoye Oss Haal Mein Wapis Aana

Iss Aziyat Ki Magar Hai Sakina Ko Khabar


Fatima Kaisay Chali

Sath Darbar Se Rotay Hoye Aate They Hasan

Maa Ke Qadmo Ke Nishano Ko Mitatay They Hasan

Oss Pe Yeh Zulm Howa Hath Zalim Ka Utha


Khak Par Zahra Giri

Jis Ghari Ho Gaya Rukhsar Mein Paiwast Gohar

Ro Ke Kehta Raha Khud Se Abu Talib Ka Pisar

Aisay Takta Na Tujhey Maut Aa Jati Mujhe


Kash Aye Bint-e-Nabi

Din Mein Jab Chand TAKALLUM Ka Wahan Jata Hai

Tooti Qabron Pe Koi Saya Nazar Aata Hai

Mujh Ko Lagta Hai Yehi Ab Bhi Hai Bint-e-Nabi


Dhoop Mein Bethi Hui