kaha ye maa ne ke akbar manaane aayi hoo
khafa thay laal galay se lagane aayi hoo
tumhare baad mere sar se chin gayi chadar
jafa e shimr e sitamgar sunaane aayi hoo
kaha ye maa ne ke...
kashaan kashaan mujhe darbar le gaye aada
chalo watan mai tumhe ab manaane aayi hoo
kaha ye maa ne ke...
hua na byaah pur armaan mar gaye akbar
tere janaze ko dulha banaane aayi hoo
kaha ye maa ne ke...
mai apne ashk e musalal ki baandh kar ladiyan
tere janaze pe sehra chadhaane aayi hoo
kaha ye maa ne ke...
hazaron thokare khaayi hai is zaeefi may
magar naseeb ka likha mitaane aayi hoo
kaha ye maa ne ke...