Kanz e Aza

La Denge Tumhe

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Mir Takallum (2026). Lyrics in Roman Urdu.

mere ammu abbas


jab pyaas badi pani na mila

to ro ke sakina ne di sada

ay mere chacha mai tum pe fida

asghar hai mera kab se pyasa

tum pyason ki saqqayi karo

darya se hame pani la do

sar choom ke phir shehzadi ka

abbas e jari ne farmaya


la denge tumhe pani ye bacchon ko batado

hum nehr pe jaate hai ay shehzadi dua do


hum baithe hai do zaanu tum aage badho bibi

khud haathon se mashkeeza kaandhe pe rakho bibi

ay pyasi sakina hume saqqa to bana do

hum nehr pe jaate hai...


mai jaaun jo maidan mein teele pe chali aana

khud dekhna aankhon se saahil pe mera jaana

tum roz hi kehti thi ke siffeen suna do

hum nehr pe jaate hai...


allah kare jaldi ye khatm udaasi ho

abbas ke hote bhi seh roz se pyasi ho

mere bandhe haaton ko azaad kara do

hum nehr pe jaate hai...


izhaar na ho paya is quwwate baazu ka

majboor e ita'at hai dil phat'ta hai ammu ka

lillaah ab na kehna meri pyaas bujha do

hum nehr pe jaate hai...


khidmat mein bhatiji ki kaam aaye mere baazu

bil-farz jo darya par kat jaaye mere baazu

tadpogi nahi bibi yaqeen mujhko dila do

hum nehr pe jaate hai...


ye ruqsat e aakhir hai baba ko tujhe saumpa

ab teeron ki baarish mein jaata hai tera saqqa

ek shor hai faujon mei kamar sheh ki jhuka do

hum nehr pe jaate hai...


pur khoon mein takallum jab wo mashk o alam dekhe

abbas ke bete ne ro kar kaha bibi se

baba ki tarha se hame mashkeeza to laa do

hum nehr pe jaate hai...