Kanz e Aza

Laadli Zahra

A noha for Shehzadi Fatima (s.a), written by Mir Takallum. Lyrics in Roman Urdu.

apne baba ki laadli zahra

choor zakhmo se ho gayi zahra


koi aaya nahi bhujhane ko

jalta dar dekhti rahi zahra

apne baba ki laadli...


jaane kis tarha maara zaalim ne

moo ke bal khaak par giri zahra

apne baba ki laadli...


tere rukh par nishan tamache ka

kaash zainab na dekhti zahra

apne baba ki laadli...


karbala shaam saamara mashad

kitne hisson mein bat gayi zahra

apne baba ki laadli...


aag se jinke jal gaye daaman

ek sakina hai doosri zahra

apne baba ki laadli...


hai tasavvur mein ghurbate hyder

saans leti hai aakhri zahra

apne baba ki laadli...


moo ke bal gir pade ali sun kar

ab jahan mein nahi rahi zahra

apne baba ki laadli...


rakh ke mayyat lahad mein bole ali

ab wo zahra nahi rahi zahra

apne baba ki laadli...


ay takallum hai jaane qabr kahan

itni bekas hai aaj bhi zahra

apne baba ki laadli...