haye hussaina
hassan haye hussaina
hussain haye hussaina
karti thi zehra dasht mein girya
shimr ne kaata sar shahe deen ka
hassan haye hussaina...
arz o sama ke aur fiza ke
dasht e jafa ke lab pe hai naala
hassan haye hussaina...
naize ke upar aur sare sarwar
taapon ki zad shaah ka laasha
hassan haye hussaina...
qaimo se uthay aag ke sholay
kaun bachaye raande hai tanha
hassan haye hussaina...
kis ko uthaye kis ko chudaye
kis ko bachaye saani e zehra
hassan haye hussaina...
kyon na anees hum yun kare matam
dil pa hai wo gham tukde hai seena
hassan haye hussaina...