Kanz e Aza

Haye Ali Qatl Hogaye

A noha for Imam Ali (a.s), written by Anees Pehersari. Lyrics in Roman Urdu.

haye ali qatl hogaye

jibreel de rahe thay nida ke ghazab hua

hyder ko qatl qanaye khaaliq mein kar diya

haye ali qatl...


shehzadiyo ne jyon hi suni gham ki ye sada

betaab hoke royi aur hasnain se kaha

masjid mein jaake dekho zara kya hai maajra

ye kaun keh raha hai hue qatl murtaza

haye ali qatl...


zarbe layeen se hogaya jis dam do para sar

us dam alam se hilte thay masjid ke baam o dar

mehraab aur musalla hua saara khoon mein tar

kaampa falak to zalzala aaya zameen par

haye ali qatl...


daude ye sunte hi suye masjid hassan hussain

dekha namazi karte hai naale ba shor o shain

apne lahoo mein laut'te hai shaahe mashraqain

paaya pidar ko aise kiye dono ne ye bain

haye ali qatl...


dekha namaziyo ne jo beton ko hat gaye

hasnain bad ke apne pidar se lipat gaye

naale kiye wo sunke jigar gham se phat gaye

riqqat se doston ke kaleje ulat gaye

haye ali qatl...


yan ho rahi thi seena zani naala-o-buka

aayi kahin khareeb se fizza ki ye sada

zehra ki betiyon ko nahi yaara zabt ka

bechain hai wo dekhne ko haale murtaza

haye ali qatl...


kya haal hai pidar ka na aakar bataoge

hasnain se kaho ke jo unse chupaoge

hyder ko jald ghar mein agar tum na laaoge

zainab ko sar khule hue masjid mein paaoge

haye ali qatl...


awaaz sunke bole ali ye baja nahi

hum be-sahara be-kaso be-aashna nahi

hai paas sab rafeeq ye ahle jafa nahi

kufa hai kehdo beti se ye karbala nahi

haye ali qatl...


hasnain leke baba ko pahunche khareebe dar

sab hatgaye anees jo aaya ali ka ghar

betaab hoke betiyan nikli barehna sar

lipti pidar se aah hui is tarha nohagar

haye ali qatl...