jibreel ro ke kehte hai haq ki duhaai hai
zarbat ali ne sajda e khaaliq may khaayi hai
zakhmi hua masjid may payambar ka alamdar
haye hyder e karraar
lo chal gayi talwaar katne lagi dastaar
haye hyder e karraar
rangeen hui mehraab wilayat ke lahoo se
islam ke ghar may chali emaan pe talwaar
haye hyder e karraar
zakhmi hua masjid may...
beti ne kaha baba ki ho khair ay ya rab
kyun sar se giri jaati hai chadar meri har baar
haye hyder e karraar
zakhmi hua masjid may...
amma ke janaze ko bhi uth'te huwe dekha
ab zainab o kulsoom hai baba ki azadaar
haye hyder e karraar
zakhmi hua masjid may...
ye choom ke khete thay ali baazu e zainab
in baazuon ko rassiyo se baandhenge aghiyaar
haye hyder e karraar
zakhmi hua masjid may...
aaya lab e hyder pe salaam aakhri jism dam
sar peet ke kehne lage maula ke sab ansaar
haye hyder e karraar
zakhmi hua masjid may...
ashoor ka manzar hai nighaon may ali ki
abbas ko ro ro ke banate hai alamdaar
haye hyder e karraar
zakhmi hua masjid may...
hasnain ne baba ke janaze ko uthaya
ek arsh ke kaandhe pe hai ek arsh namudaar
haye hyder e karraar
zakhmi hua masjid may...
masjid may ali taygh na sajde may jo khaate
tauheed na yun aati nazar majid o mukhtar
haye hyder e karraar
zakhmi hua masjid may...