Kanz e Aza

Haye Namazi

A noha for Imam Ali (a.s), written by Mir Bober Ali. Lyrics in Roman Urdu.

ek shor utha haye namazi

hai qatl hua haye namazi


ye shere khuda nafse khuda nafse nabi hai

ye ilm ibadat may shuja'at may dhani hai

ahmad ka biradar hai ye khaaliq ka wali hai

kaunain may sab ke liye bas ek ali hai

maula ali maula ali maula ali maula ali


ahmed ka madadgaar hai imran ka jaani

ye ilm ka darya hai badi jiski giraani

ab tak na hua iska koi dunya may saani

kardega ishaare se wo pathar ko bhi pani

maula ali maula ali maula ali maula ali


ramzan may sitamgar ne namazi ko hai maara

talwaar lagi farq pe aur wo hai do paara

allah ka ghar surkh hua khoon se saara

hilne laga is gham se har ek arsh ka taara

maula ali maula ali maula ali maula ali


kehne lage sar thaam ke ye hyder e safdar

fuzto be rabbe kaaba mere maalik o daawar

hasnain ali ko jo utha le ke gaye ghar

sar peet'ti thi zainab o kulsoom tadap kar

maula ali maula ali maula ali maula ali


hyder ki badalne lagi kuch is tarha haalat

us waqt bula kar kiya bachon se wasiyat

deen ke liye sehna hai tumhe ranj o musibat

phir hone lage aaj ke din sab se wo ruqsat

maula ali maula ali maula ali maula ali


karti thi ye ro ro ke bayan saani e zehra

bin maa ke to pehle se hi mai ho chuki dukhiya

ab sar se pidar aap ka bhi uth'ta hai saaya

batlao kahan paaungi mai aap ko baba

maula ali maula ali maula ali maula ali


ek shor tha kaunain ka sardar sidhara

sab ahle aza kehte thay ghamkhaar sidhara

hum saare ghareebon ka madadgaar sidhara

aayi ye nida hyder e karraar sidhara

maula ali maula ali maula ali maula ali


ab tak na ruka zikre ali hota hai payham

ekkeeswi ramzan ko ye uth'ta hai ye parcham

ho jaati hai is gham may har aankh bhi purnam

arif bhi bober karte hai jab nauha o matam

maula ali maula ali maula ali maula ali